agar aap corruption rokna chahte hai to phle ek chhote star pe rokiye, bhai, behn, beta, beti,dost,colleague, senior, junior,teacher, student, heads of groups etc...par sbse pehle khud me jhaak k dekhiye k aap kitne corrupt hai?
1.kitne jhoot bole hai apne jeevan me?
2.kitni bar kisi garib ki madad ki? (paise dene se hi madad nhi hoti.....kya use do waqt ka khana khilaya?)
3.student hai to kitni sachai se aapne padhai ki?
4.guru hai to kitni baar shishya ki poori madad ki?
5. maa baap hai to kyu bache ko sikhaya k ye kisi se na bolna, ghar me falana aye to bol dena mummy nhi hai ya papa k liye phone aye to kehna wo bahr gye hue hai, aaj school me bahana maar do etc.
6.dost hai to kyu dost ko sikhate ho jaane do yar bahana mar dena, kya jarurt hai bhala karne ki.. yeh kyu nhi kehte k ek koshish kamse kam ker k dekho..
7. working hai to boss ya colleagues ko nicha dikhane ki koshish, unke khilaaf shadiyantra rachne ki koshish kyu krte hai..?
8.aksar hum kehte hai jo satta me hai wo bhrastachaar ker raha hai, par jo chhota admi h satta me nahi hai wo kon se bhrastachaar ko karne se rok raha hai ya khud nahi kar raha hai...!
isiliye meri sabi se yahi anurodh hai k jeevan me ek baar hum sab apni taraf dhyan dekar apne andar k bhrashtachari ko khatam karne ki koshish karen to umeed hogi k bharat se bhrashtachar khatam ho jayega kuch saalo me!
dhanyawaad.. VANDE MATARAM!
No comments:
Post a Comment